Monday, August 30, 2010

"Life without firendship




HaathOn pE mErE tEri lakEErain,
mEri sAAri sAAnsain tEri jagEErain. . .
tErE hOnE hi sE mAin hoOn,
Main thi, main hoOn, tU hi mAin hoOn. . .
tUjh pE mAin hoOn fiDa, mUjh pE KhUda,
Ab tUjhe kAr nA doOn SajDa mEin yUn ADA. . .

hOti zArA ChAAhat Sada yEh sArphiri. . .
AankhOn sE hO AankhOn pE yEh jAAd






dukh fasaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n
dil bhii maanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

aaj tak apanii bekalii kaa sabab
Khud bhii jaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

ek tuu harf_aashnaa thaa magar
ab zamaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

be-tarah dil hai aur tujh se
dostaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
aab-o-daanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

Khud se milane ke bahaane nikale

Zindagii tujh ko manaane nikale
ham bhii kis darjaa deewaane nikale


kuch to dushman the muKhaalif suff main
kuch un main mere dost puraane nikale


nazar_andaaz kiyaa hai us ne
Khud se milane ke bahaane nikale


be-basaarat hai ye bastii yaroo
aa_iinaa kis ko dikhaane nikale


in andheron main jiyoge kab tak
koii to shamaa jalaane nikale

Thursday, August 26, 2010

Sulagti dhoop mein ghum ki
Bhari aankhon ke saawan mein
Kaho tum alvida mujh ko
Khudha hafiz kahoon main bhi

Chalo ab hum bichhartey hain…

Safar yeh mukhtasar hoga
Yeh hum ko bhi khabar to thhi
Yeh tum bhi jaanti thhi ke
Koi din ka safar hai yeh
Kisi ek moor par ek din
Bichhar jaayen ge hum yun hi
Tumhari raah ki zid par
Mere raste khulenge

Yehi wo moor hai jis pe
Bichharna hai hamein hans ke
Alag raste pe chalna hai
Alag manzil ki jaanib ab

Chalo ab hum bichhartey hain…

Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tum se
Safar lamba hai mujh ko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bool ke sikkey…
Ke kal jab khaamushi dar pe
Kabhi aa ke sadda dede
To dhar doon uske kaanse mein
Khanakte bol ke sikkey
Tumharey bol ke sikkey

Koi bhi atpata jumla Ke jis me ho
Quran-e-zeest ke aayat ka jaadu
Tum apni pyaari ungli se
Hamari peeth par likh do
Ke kal jab lafz dab Jaayen
Kitaabon ki imaarat mein
Yehi jumla parhunga main
Tumhara atpata jumla!!

Jaga do lams ke jugnu
Mere saare badan par tum
wo jugnu jo karein roshan
Tumhari yaad ko har dum
Ke kal jab bhi andhere se guzar hoga
Yehi jugnu to chamken ge
Tumhaare lams ke jugnu!

Bithaa do pyaar ki titli
Alag qismon ki rangon ki
Meri har shaakh pe chun ke
Ke kal jab zindagi berang hogi to
Yehi titli main dekhun ga
Tumhare pyaar ki titli!

Baha do aankh ka dariya
Mere kaandhe pe sir rakh ke
wo dariya jiss mein hon apne
Bitaaye sab ke sab saawan
Ke kal jab tashnagi meri
yeh jism-o-jaan jalayegi
Yehi dariya piyun ga main
Tumhari aankh ka dariya!!

Tum apne khushnuma naakhun
Chubho do mere seene par
Jhapat kar is qadar gahre
Ke rahti zindagi tak ek bhali si tees rah jaaye


Chalo ab hum bichhartey hain
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla
Tum apne lams ke jugnu
Aur apne pyaar ki titli
Aur apni aankh ka dariya
Vohi ek tees laafaani!!!!

Tuesday, August 24, 2010

Mujhay ab bhi mohabbat hay
teray qadmon ki aahat say

teri har muskurahat say
teri baaton ki khusbho say

teri aankhon k jadu say
teri dilkash adaon say

teri qatil jafaon say
mujhay ab bhi mohabbat hay

teri rahon main ruknay say
teri palkon k jhuknay say

sehar o sham haton pay tera hi naam likhnay say
teray tesh o adawat say

teri bey ja shikayat say
yahan tak k sanam meray

teri har aik aadat say
mujhy ab bhi mohabbat hay
Suna hai yaad kartay ho

k jub shaam dhalti hai

hijar main jaan jalti hai

tum apni raatka aksar

sakoon barbad kertay ho

Suna hai yaad ketay ho

k jub panchhi loat aatay hain

ghamon k geet gaatay hain

"suno tum loat aao na"

yehi faryad kertay ho.. suna hai yaad kertay ho.